Kohli hai bhagwan
Kohli hai bhagwan
Lagata hai satko ka ambar
Khud pe bharosa hi uski taqat hai
Run daudne mein sabse aage hai
Chase karne ka master hai
India ka asli superstar hai
Log aate log jaate hai
Bas kuch yaad chhor jaate hai
Jinhe hum bhool nahi paate hai
Kohli ko bhul n payenge
Kohli sadiyon tak yaad kiye jaayenge
Aisa maharathi koi aaya tha
Runo ka ambar lagaya tha
Man marzi ka maalik tha
Bowler usko dekh ghabrata tha
Bharat garibo ka desh hai
Fir bhi yaha umeed hai
Kohli bhi ek umeed hai
Jo har yuva ke man ki reedh hai
Bharat paise se garib hai
Par sapno se amir hai
Kohli hamara sapna hai
Har bharatiya ka apna hai
Tu desh ka maan hai
Jispar hum sab ko abhimaan hai
Tu pura karle satko ka shatak
Aur ban jaa chetak
Bharat ko aisa khiladi n kabhi mila tha
N kabhi mil paayega
Kohli jaisa adwitiya
Phir dharti pe n aa paayega
Dekh tere manbhawan cover drive ko
Ji lalchata hai
Swarg ka ahsaas kara jaata hai
Kya hai khushi
Hum garib ko kya pata
Par kohli ko batting karte dekhna
Man ko bhata hai
Tu aise hi khelta jaa jiwan bhar mere
Tere bina cricket dekhna ashambhaw hai
Tu yuhi khelta rahein
Bas bhagwan se yahi prarthana hai
Comments
Post a Comment