Lakshya ko bhed
Jo bhi tere undar hai usko bahar nikaal
Dar mat
Kisse ghabrata hai
Jaisa tu hai
Waisa hi woh hai
N hi koi upar
N hi koi bekaar hai
Sab tere jaise hi shandar hai
Koi hasega
Koi muskurayega
Koi jillat dega
Ya koi samaan
Bas itna hi hoga n
Tu isse hi paresaan hai
Yaad rakh
Tune kuch kiya hai
Baakiyon ne to bas bakwaas kiya hai
Dil ko sakhth kar
Man ko uccha bana
Dekh ke gagan ko
Usmein apna pratibimb bana
Khud ko itna upar utha
Ki neeche kuch dikh hi n paaye
Log tujhe dekhe
Aur tu bas akaash ki aur murein
Dusro ki lakir chhoti mat kar
Apni lakir badi kar
Kismat naam ki chiriya uda de
Sab man ke hi andar hai
Jeet or haar
Safalta or asafalta
Prayas jaruri hai
puraskar nahi
Lakshya ko kendra bana
Lakshya hi sab kuch hai
Aisa maankar jatan kar
Kon kahta hai tu safal n hoga
Lakshya bheda hi jaayega
Yaad rakh bina gire
Kon uth paaya hai
Tu apne bhagya ka vidhata ban
Lakiron se dar mat
Naya kirtimaan bana
Ambar ko upar utha
Tujhpe bharosa hai
Tu hi kar paayega
Badal ke beech udaan bhar
Ambar ko bhi ek din paar kar jaayega
Tu aasha hai
Tu hi ummeed hai
Tu hi roshni hsi
Tu manaav hai
Tere karmo se hi duniya sajiv hai
Tu bas karta rah prayatn
Parinaam tumhara hai
Comments
Post a Comment