Mein dhokebaaz
Dhokha diya meine
Haa haa dhokha diya meine
Tujhse jhootha wada kiya
Ha ha tujhse jhootha wada kiya
Maaf mat karna mujhe
Dhokha diya meine tujhe
Jhootha wada kiya tumse
Socha tha saath nibhaunga
Tere saath hi har mushkil se paar paaunga
Par kya hua
Kya tujhe batau
Aisa kyu hua
Ki mein bewafa ho gaya
Tere dard se anjaan ho gaya
Kitna jaalim ho gaya mein
Tere dil ko kuch n samjha
Tod ke dil tera
badh gaya mein
Ek baar bhi nahi socha
Tujhpe kya beeti hogi
Tera hoke bhi tera ho n saka
Tujhe khoke pata nahi kya paa liya
Bada besharm insaan hu mein
Bada begairat hu mein
Tere pyaar ko kitna aam bana diya
Tere viswaas ko jhuka diya
Tere wafa ko sareaam nilam kar diya
Tu kitni nadaan thi
Ki mujhpe bharosa kiya
Mere jaise patthar
Pe aitbaar kiya
Tujhe kya laga ki mein pyaar ka Devta hu
Mein to gunaho ka Devta hu
Tu aitbaar rakh apne rab pe
Mere gunahon ki saja tujhe nahi milegi
Tu paak dil insaan hai
Tere saath insaaf hoga
Tujhe tere jaisa hi koi yaar milega
Aur mujhe mujh jaisa hi
Unpe aitbaar rakh
Unke ghar der hai andher nahi
Comments
Post a Comment