Nirbhaya
Upar jo baith hai
Kabhi neeche bhi aayega
Baith ke upar
Bas apna adhikaar jamayega
Jaanta hu tu kamaya apna kirdaar hai
Iska nahi matlab ki har chiz pe tera hi adhikaar hai
Aa jaa hamare beech
Dekh le hamari durdasha
Tab samajh aayega
Jindagi ka asli falsafa
Baith ke bhashan dena kitna asan hai
Jab khud pe beetegi n tab samajh aayega
Hum kitne paresaan hai
Baith ke bhashan dena kitna asan hai
Jab khud pe beetegi n tab samajh aayega
Hum kitne paresaan hai
Tujhe dard pata hi kaha hai
Ab nirbhaya tere pass hai
Pucch lena ek baar usse
Samajh lega tu
Insaano ke liye
Bhagwan hona bhi apmaan hai
Bachpan se hi nafrat hai tujhse
Dekhna nahi chahta hu tumko
Sun ke teri taaqat ke baare mein
Mein bhi hairaan hu
Ek bhi nirbhaya ko bacha n saka
Ab tu mat yeh kahna ki tu isse Anjaan hai
Rakh apni shakti apne pass
Kisko yaha teri jarurat hai
Hum jeena jaante hai
Jee lenge karke lakh muskilon ko paar
Mera dard sine se paar hai
Par hum kaha teri tarah shaktiwaan hai
Warna ban nahi jaata nirbhaya ka madhvan
Tujhe dard nahi hota kya
Tu sachmuch hi chaatan hai....
Pata nahi kaise log hai
Jinko tum pe abhimaan hai
Dekh ke bhi nirbhaya ka dard
Aacharya hai sachmuch
Tu ab bhi logo ka pratiman hai
Ye kaisa viswaas hai
Jismein nahi koi swaas hai
Jo vichaar se pare hai
Kaaran bhi nahi hai jiska
Sachmuch nirbhaya ka apmaan hai
Mat kahna ki yeh tera kaam nahi
Hamare jeewan mein tera koi kirdaar nahi
Tu apne karm ka fal khaata hai
Mujhpe tera gussa bekar hai
Tu agar humein bananewala
Hamara maarg dikanewala
Hamare bhoot aur bhavisya ka nirmata hai agar tu
To kya
Tujhe apna kaam bhi nahi aata hai
Hamari nirbhaya ko durdaanto se bacha bhi nahi paata hai
Kyu n kahu ki
Tu sabse bada nishthur hai
Tu bada hi krur hai
Saayad isliye hi tu nirwikar hai
Maanta hu tu asadhya hai
Jisko nirbhaya ki peeda n bhi saadh saki
Kahne ko tum hamare aatma ho
Par saayad mar gayi hai tumhari antaratma
Mein tumko nahi pujta
N hi tumko maanta hu
Accha hi hai..
Kya kaam aisi shakti ka
Jo apno ka surakshit bhi n kar sake
Draupadi ki kahani mithya hai
Madhav ko bas apna gun gana hai
Sach puccho to
Madhav sabse bada lacchar hai
Bina hamare usko kon pujnewala hai
Bas mera itna hi shaap hai
Teri kismat bhi ho nirbhaya jaisi
Tu bhi gujre us peeda se
Jisse hamari nirbhaya bani lacchar thi
Comments
Post a Comment