Rap: mujhe banna hai kalakar
Mujhe banna hai kalakar
Laana hai apne sabdo mein dhaar
Dena hai apne sabdo ko akaar
Chahta hu likhna bahut kuch
Par thora bhi nahi hai skill kuch
Dil me bhara hai dard
Karna chahta hu vyakt
Par nahi aata likhna mujhe
Dil mein hi rah gaya dard
Andar hi andar jalta hu
Tadap tadap ke marta hu
Kaise jaahir karu apni becchani
Sabdo ko maadhyam banana chahta hu
Mera dard hai kitna gehra
Mera man hai kitna ghayal
Aankhein sukh gayi hai
Man pe itna bura asar
Dil ho gaya hai patthar
Yaad bhi nahi aati mujhko
Bhul gaya tere fasane
Par Kaisi hai yeh uljhan
Tu ab bhi hai mujh mein jinda
Duniya aisi hi hai
Maan liya meine
Ab nahi lagana hai dil
Soch liya meine
Sab bewafa hi hai
Nahi kar Kisi pe bharosa
Sab deti hi hai dhokha
Ishq hai jehar
Kar gaya mujhe beasar
Sabd nikalte hi nahi
Paper pe utarte hi nahi
Jitna daga usne kiya mere saath
Utne sabd sabdkosh mein milte hi nahi
Likhta hu
Likhunga hi
Dard se prist bharunga hi
Shyahi nahi aasu he mere
Jo kalam se utarte hai
Phir bhi kam hai
Jitna dard hai mera
Akela insaan hu
Bhir se Anjaan hu
Uska ha thi bharosa
Chhor gayi
Tod gayi
Tanha ho gaya hu mein
Ab kiske liye likhungaa
Uska diya dard hai
Uspe hi likhunga
Kah do meri jindagi
Ya meri motivation
Pahle thi saath
Ab ho gaya mein barbaad
Pahle uske pyaar pe likhta tha
Ab uske diye dard pe
Sabdo ko aakar deta hu
Ab lana hai apne sabdo mein dhaar
Mujhe banna hai kalakar
Comments
Post a Comment