Saayari

 Usne mujh se kaha ki kya hogaya hai aapko

Ki bas likhe jaa rahe ho


Meine kaha ki....


Pyaar beintehaa hai tumse

Bas teri hi yaad tujhse saajha karta hu

Mein kavita nahi likhta hu

Mein tumse mohabbat karta hu

Yeh mere sabd nahi

Ijhaar e mohabbat hai

Ek baar jo mere pass tu aa gayi

Kavita nahi likhungaa mein

Mere aankhon mein hi padh lena

Daastan tumhara hi hai

Man ko samajh lena

Yaadein bas teri hai....

Comments