Sabd kamjor hai
Sabd kamjor hai
Sabd majboor hai
Sabd adhoore hai
Mein jo kahna chahta tha kah n paaya
Mein jo samjhana chahata tha samjha n paaya
Yeh dil ki baat hai dil hi samjha sakta hai
Sabd kamjor hai
Sabd adhoore hai
Usne mera sabd suna
Dil ko nahi
Chhor ke chali gayi
Kyunki sabd kamjor the
Adhoore the
Aaj bhi kahna chahta hu
Aaj bhi paana chahta hu
Tasveer bhi ban gayi hai
Ahsaas bhi jud gaye hai
Par sabd kamjor hai
Sabd tasveer nahi dikha paate hai
Sabd dil ki baat nahi suna paate hai
Sabd ahsaas bayan nahi kar paate hai
Kyunki sabd kamjor hai
Sabd majboor hai
Yeh sabd hai
Aaina nahi
Dil nahi
Aatma nahi
Man nahi
Man ki dor se bandhe hai
Dil ke taar jude hai
Aatma ek hi hai
Par sabd kaise samjhate
Kyunki sabd adhoore hai
Bahut kuch kahna chahta hu
Bahut kuch bayan karna chahta hu
Andar ki tadap dikhana chahata hu
Andar ki milne ki bechani jatana chahta hu
Andar ke dard ko jaahir karna chahta hu
Kaisa lagta hai ki jise chahu use paa n saku
Abhi bhi intezaar hai
Par mein us tak kaise khabar pahuchau
Mere sabd kamjor hai
Mere sabd majboor hai
Mere sabd adhoore hai
Saal beet gaye
Yaadein yaad ban gayi
Mohabbat kahani ban gayi
Aur kahani itihaas ban gayi
Phir bhi taaza hai
Zakhm mere
Yaadein parchhayi ban gayi
Yaadein itihaas ban gayi
Itna kuch hai kahne ko
Itna kuch hai dikhane ko
Ki mein kya ban gaya hu
tumhare bin
Par kya kahu baar baar
Ki mere sabd kamjor hai
Ki mere sabd majboor hai
Ki mere sabd adhoore hai
Ki mein kah nahi pata hu
Jo mein tumhe kahna chahta hu
Kaash tum dekh paati dil mera
Kaash tum padh paati man mera
Kaash tum mahsoos kar paati mere tadap ko
To mere sabd apraadhi n hote
To mere sabd mere katil n hote
Mar raha hu pal hi pal
Par tumhe qatil kaise kahu
Kyunki qatil mere sabd hai
Jo majboor hai
Kamjor hai
Adhoore hai
Comments
Post a Comment