Teri yaadein yaad aati hai
Har chehre mein usse dhoondta hu
Saalo beet gaye
Kaisa yeh pyaar hai
Sab kuch bhool gaya hu
Use n bhool paya hu
Kuch bhi yaad nahi
Bas uski yaadein hai
Yaad hi hai woh
Uske siwa kuch yaad nahi
Sab yaadein aayi
Dhoondli ho gayi
Wo har naye din ke saath
Taaji ho gayi
Kyu yaad hai mujhe ab tak
Aisa kya tha usmein
Mera pyaar hai
Ya uska alag hona
Kuch to baat rahi hogi
Jo mein ab tak pagal hu
Uske chehre ki lalima
Ab tak mere man ko roshan karti hai
Aate hai uske sapne jab bhi
Wo din alag hi hota hai
Aisa kya tha usmein
Mera pyaar tha
Ya uska kuch alag hona
Uske baalon ki khushbu
Ab bhi basant yaad dila jaati hai
Duniya ke liye kai ritu hu
Mere liye to wahi basant hai
Mere chehre ki prabha
Uski yaadon ke karan hai
Mere jiwan ka anand
Uski yaadon mein hai
Mere jiwan ka josh
Use ek baar paane ke liye hai
Uski khikhilahat
Mere man mandir ka aaj bhi jhankaar hai
Mere karno mein bajne wale amar sangeet hai
Uski awaaz ki madhur sargam
Swarg ka ahsaas karati hai
Usse pyara kuch n suna ab tak
Usse sampoorn kuch n mahsoos kiya ab tak
Usse Sundar kuch bhi nahi
Meri maa ki yaad dilati hai
Uski ek jhalak
Paane ko mein ab bhi man hi man betaab hu
Varsh beet gaye
Par aaj bhi wo basant ki saam hai
Wo saam uske muskurane se hi yaad hai
Uski ek jhalak saalo ka madirapan thi
Aisa madira jiska nasha aaj bhi vidyaman thi
Kai mahino ke pyaas mitane ke liye ek boond thi
Ek din bina dekhe apni jivan ko mein mar jaata tha
Socho saalo se yeh murda kaise chup hai
Tu hi mera amrit paan hai
Tu hi mera jiwan
Tu hi mera bhagwan hai
Tu hi meri sampoorn shristi
Tu hi mera abhimaan hai
Is vyarth jiwan mein
Tu hi mera matra adhimaan hai
Mere aankhon ki tripti hai
Un aankhon ka milna
Jiwan bhar ka uphaar hai
Bacche ko maa ka pyaar hai
Tu kaha chali gayi
Mujhe nahi pata
Par mere man mandir mein to ab bhi devi hai
Jiske darshan se hi mere jiwan ka pramaan hai
Comments
Post a Comment