Usne mujh se jyada wafai kar di

 Meine kaha bewafai ki

Usne mujhe se jyada wafai kar di

Meine tumhe kaha chhora

Usne mujhe apna bana liya

Mein to ab bhi tumhe utna hi chahta hu

Usne bas tumse jyada mujhe chah liya

Yaha koi bewafa nahi

Bas kisine jyada wafai kar di

Woh mujhe itna kyu chahti hai

Khud ko bhi n samjha paaya hu

Apna sab kuch gawa ke bhi

Khud ko raees samajhti hai

Itna tut ke chahti hai mujhko

Ki chahat bhi usmein apna naam dhoondti hai

Mujhe kisi ke dil ka gunahgar banake

Khud aashiq e khuda ban gayi hai

Mera dil aaj sharminda hai

Mera dil aaj majboor hai

Uske sab kuch ishq mein luta dene ke shaukh pe

Mujhe ghulam bana liya hai apne Kainaat e mohabbat se

Uske ishq ko ahteram dena meri muskil hai...

Isko apni kismat samjhu

Ya dil ki khudgarji

Kisike dil e hyaat mein aag laga ke

Koi dil ishq mein kaise mashroof ho jaaye

Jindagi bhar ka dard liye jaa raha hu

Kiskike dil ke aagosh mein apna dil de raha hu

Ho jaayega uska dil e bagbaan gulzar

Par kisi aur ke dil e hyaat samshan ban jaayega

Aur meri khudgarzi ki dastan sare aam karega

Gujarish hai ae jindagi

Aur imtehan na le

Mein saare jang haar chuka hu

Apne dil ko gulzar kar ke

Dusre ke dil ko majaar bana chuka hu

Meine kaha bewafai ki

Usne mujh se jyada wafai kar di

Mohabbat e aajmaish bhi kya itna jaruri hai

Har baar dil ko aashiqo ke bazaar mein nilam karna kya itna jaruri hai

Yeh dil aadat e majboor hai saayad

Warna itni baar mohabbat ki numaish bhi kya jaruri hai

Dil e nadaan ki gustakhiyan kya har baar jaruri hai

Jindagi mein kisi ka dil e samshan banana kya har baar jaruri hai

Band kar dil ki saudabaazi

Kya har baar dagabazi jaruri hai

Mein bewafa nahi hu

Kisine mujh se jyada wafai kar li

Comments