Badastur koshish jaari hai

 Jindgi mein kuch bhi n paa saka

Phir bhi jinda hu

Pata nahi kyu jinda hu

Khud se hi yeh sawal baar baar dohrata hu

Kiya tha khud se waade hi waade

Beshumar waade

Ek bhi n nibha paaya hu

Chaha tha aasman chunne ko

Ab tak jameen bhi chhor nahi paaya hu

Jitni ummeedein thi mujhe khud se bhi

Kaha pura kar paaya hu

Jindgi mein kuch bhi nahi paaya hu

Fir bhi ji raha hu

Par kyu ji raha hu

Yeh khud ko aaj tak nahi samjha paaya hu

Khud se jang jaari hai

Pata nahi is raat ki subah kab aane wali hai

Har raat ek naya khwab

Har subah ek nayi ummed

Isi tarah Jeete jaa raha hu jindagi 

Kaha koi mukaam paya hu

Karna tha mukammal hajaron khwab

Neend se uth bhi nahi paaya hu

Ab to aadat ho gayi hai

Is mein naya kuch bhi nahi

Bachpan se hi to haar raha hu

Jit ke pass aake bhi usse dur rah jaata hu

Jo bhi socha

Wo pura nahi kar paaya hu

Badkismat hu mein

Ya mera kirdar thora alag hai

Jismein bhi haath lagata hu

Woh rakh ho jaata hai

Saayad aisi hi kismat hai  meri

Khuda ne mujhe aisa hi banaya hai

Mujhe aisi hi kismat bakshi hai

Jo diya mujhe wo chhin hi jana hai

Meine to maan liya haar hi mera sach hai

Phir bhi koshish jaari hai

Har baar apne galtiyon se sikha

Unko sudhara bhi

Par lakeer kabhi nahi chhu paaya 

Hamesha peeche hi rah jaata hu

Bas mujhe banane walo ki kya baat kahu

Kitno ne mujhse ummid lagayi

Mujhe khara sona samjha

Patthar paani mein nahi galta

Mujhe dekh baar baar yeh baat dohrayi

Par mein saayad pathar hi rah gaya

Bina tarashe hira kon ban paaya hai

Kitna bhi jalaya khudko

Kundan nahi ban paaya hu

Khud ko gala bhi diya

Nikhar nahi laa paaya hu

Kitna bhi lar lu mein

Jit nahi paata hu

Asafalta mere pass hi hai

Badkismati mere saath hi hai

Haar ka ahsaas bhi hai

Ahankar to koso dur hai

Prayaso mein rat bhi hu

Par fir bhi jeet kahi dur tak bhi nahi

Pata nahi saayad mera kirdar hi kuch alag hai

Ya Mein hi kuch alag hu

Kuch aur ke liye bana hu

Par kahi aur laga hu

Johri ki abhi bhi talash hai

Khud  ki justju mein laga hu

Mein yaha aaya kyu hu

Yeh jadojahad jaari hai

Har saache mein dhal ke dekhta hu

Kisi mein to sama jaau

Par ab tak to kuch nahi mila hai

Badastur koshish jaari hai

Comments