Tumhare chehre ka deedar
Kyu dekhna chahta hu tumhe har pal
Kyu
Aakhir kyu
Kya milta hai mujhe tumhe dekhkar
Pura din intezaar
Kabhi kabhi to mahinon tak
Par kyu
Pata nahi tere chehre mein aisi kya baat hai
Ki dekhte hi mein khud se juda ho jaata hu
Bas tera ho jaata hu
Tumhe bas dekhte rahna chahta hu
Maanta hu gustaakhi hai meri
Tumhare jism se ruh churana chahta hu
Tumhe har pal ji bhar ke dekhna chahta hu
Majboor hu mein
Meri khata nahi hai yeh
Maaf kar do husn e aziz
Yeh kaisi khusi hai
Lagta hai jaise
Khuda ka deedar hai
Kya jaahir karun
Har pal rahta hai bas tera hi intezar
Mere liye tera aana khuda ke istakbal se kam nahi
Tumhare chehre ka noor pina chahta hu
Tumhare husn ke nashe mein behosh rahna chahta hu
Mohabbat to saayad abhi bahut dur hai
Bas tumhari ibadat hi meri maqbooliyat hai
Ek hi jindagi se guzaarish hai
Tum se hi meri Subah ho
Tum se hi meri raat
Tumhare baad mein n milu
Tumse pahle hi khaaq ho jaau
Khuda se itni hi inteza hai
Dil ke liye sukoon hai tumhare chehre ka deedar
Tumhara chehra sharmaya hai mere aankhon ke liye
Palke meri jhuk jaaye kabhi
Sar kalam kar dena is nacheez ki
Aankhein thak jaaye
Itni meri himakat nahi
Tum kaha se aayi ho
Tumhe kisne banaya hai
Tum hi aisi kyu ho
Tumhari jaisi koi dusri nahi
Dil ko aisa aaram nahi
Maaf karna mere khuda
Mere is baat pe
Milta nahi mujhe aisa chain aapke ghar ke darwaje pe bhi
Bas unhe dekhte rahu
Aise hi madhosh rahu
Jindagi beeta du unke deedar mein
Itna hi rahmat kar de khuda apne is bande par
Comments
Post a Comment