Ek din aur beet gaya
Aaj fir saam hui
Suraj dub gaya
Ek din aur beet gaya
Anubhav ka ek din aur juda
Itna hi kuch khaas hua
Jiwan ki gaari yu hi chalti hai
Ek din
Aur ek din
Aise hi badhti jaati hai
Jiwan ghat-ti jaati hai
Mrityu ke pass pahuchti jaati hai
Aaj ka din bit gaya
Khud kismat samjhu khud ko
Ya badnaseeb
Ek aur din ji liya
Ya jiwan mein ek aur din ghat gaya
Warna kisko kya hai khabar
Kal ho n ho
Jiwan to bas anubhav ka sansaar hai
Ek yaatra hai
Jo kab tak chalegi
Iska koi thaah nahi
Kal fir subah hogi ya nahi
Kisko pata
Agar ho bhi gayi
To kya kuch khaas ho jaayega
Ek aur din beetega
Anubhav ka ek aur din judega
Jiwan ka yatra vritant badhega
Kya safalta
Kya asafalta
Kya paana
Aur kya khona
Sab hai yeh mrig trishna
Ya kah lo jiwan ki maya
Karma mahtwapurna hai
Karm hi puja
Rakho aastha karma mein
Karma hi naseeb badalne wala
Sanchep mein kahu to
Iske sesh kuch bhi nahi
Acche karma karna hai
Vyarth ki chinta nahi
Jo hoga dekha jayega
Bhavishya ke garbh mein hai
Bhavishya mein hi samjha jaayega
Vartaman pe dhyan kendrit karo
Vartaman ko hi behtar banana hai
Jo bit gaya
Uspe ashru nahi bahana hai
Aaj fir saam hui
Ek din aur beet gaya
Anubhav ka ek din aur juda
Jiwan to gyaan hai
Anubhav ka sansar hai
Har din naye prasno se mulakat hai
Unka uttar dhoondna hi jiwan ka uddeshya hai
Kabhi uttar milte hai
Kabhi unsuljhe hi rah jaate hai
Naye naye prashnon se milna hi jiwan ka swaad hai
Unke uttar dhoondna hi jiwan ka darshan hai
Kon kitna bada darshanik ban paaya hai
Yeh to samay nirnay karega
Par samasyain aayein jiwan mein kitne bhi
Muskurate hue hi jiwan jina hai.....
Comments
Post a Comment