Jaa jaa chali jaa
Jaa jaa
Jaldi se jaa
Abhi jaa
Isi waqt jaa
Mujhe chhor ke jaa
Bhul jaa mujhe
Kar de mujhe azad
Nahi chahiye tera saath
Tujhe to pahle hi kaha tha
Idhar mat aa
Fir bhi kyu aayi
Jab jaana hi tha
To jaa jaa
Jaldi se jaa
Aur aise jaa
Fir n laut kabhi
Apni yaadein apne saath le jaa
Nahi karna hai mujhe yaad kabhi
Kar de mujhe azad
Maanunga mein har samay tera yeh ahsaan
Tujhe to bola tha
Mein auro ki tarah nahi
Jo tere picche ho jaaunga barbaad
Jaa jaa
Abhi jaa
Kaha kab tha ki mujhse dil laga
Mere dil mein aake bas jaa
Khud hi aati hai
Khud hi jaati hai
Kahi to ruk jaa
Na meri hui to kya hua
Kisi se to wafa ka farz nibha
Par tum to ho bewafa
Tum kya samjhogi
Ki dil e haal
Jab apna koi chhor jata hai
Kaisa lagta hai
Accha hua tu chali gayi
Fir se mauka mila
Apni justju ka
Warna tere pyaar mein yuhi abaad hota barbaad hone keliye
Tu dhokha thi
Tu fareb thi
Tujh pe nahi karna tha yakeen
Mein hu kamjor dil
Aa jaata hu logo ki baaton mein
Kar leta hu kisike bhi chehre pe yakeen
Nahi padh paata hu dil ki kitaab
Dil to andar hai
Dekh nahi paata hu
Fas ke upar ki baaton mein
Dil ko gawa deta hu
Baar baar ek hi galti doharata hu
Kab aayegi samajh
Duniya bilkul nahi waisi
jaisi dikhti hai
Har duniya ke andar ek duniya hai
Parat dar parat chhupi hai
Jo mujhein samajh mein nahi aati hai
Accha hua
Khatam hogayi woh kahani
Ek baar fir se akela hu
Khud se mil raha hu
Soch raha hu
Kya khoya kya paaya is jiwan mein
Ummid hai nahi dohraunga wahi galti
Par dil to nadaan hai
Hai yeh baccha ji
Phir bhi karega galti
Hai mujhko yakeen
Comments
Post a Comment