Jab aisi hawa aur pani thi
Jabse inverter laaya hu
Garmi kya hoti hai
bhul gaya hu
Pasine ki mahak kya hoti hai
Yaad nahi
Bahut dino baad
Khidki ke pass gaya tha
Subah ke 3 baje the
Woh purani mahak fir yaad aa gayi
Mujhe garmi yaad aa gayi
Ajib sondhi si mahak thi woh
Ab nahi milti mujhe
Kyunki bahut dino se
Khidki ke pass nahi gaya hu
Inverter jo le aaya hu
Man mein wahi sawal hai
Pankhe ki hawa jyada behtar hai
Ya khidki se aanewali hawa
Kismein jyada sukoon hai
Andar wali hawa mein
Ya bahar wali
Bahut pahle gaon jaata tha
Subah ho ya saam
Ek hi hawa hota thi
Bas baharwali
Chapakal ki paani
Jitna chalao utna thanda paani
Wo swaad nahi mila dobara
Ghum aaya jag saara
Pata nahi khusi kuch alag si chiz hai saayad
Kismat walo ko hi nasib hoti hai
Koi kho ke bhi sab paa liya
Kisi ne sab paa ke bhi kho diya
Kya khoya kya paaya
Bas man ki maya
Inverter hai
Ac,cooler,pankha sab hai
Par woh hawa nahi
Filter,freeze sab hai
Par woh thanda paani nahi
Air purifier hai
Par woh mehak nahi
Suvidha hai
Par tripti nahi
Kuch kho diya hu
Kuch bhul gaya hu
Jindgi kahi chhut gayi hai
Ab woh mere pass nahi
Bas saans le raha hu
Jina to kabke chhor chuka hu
Gaon to mit jaayenge jaldi hi
Bas sahar hoga
Sahar ka vatavaran hoga
Jaha sab kuch hoga
Par apnapan nahi hoga
Hawa aur paani ka jaadu
Kitabo mein hi rah jaayega
Maila paani aur hawa
Sahar ki pehchan hogi
Pata nahi aanewali duniya kaise hogi
Mein to mahsus kar sakta hu
Yaad kar sakta hu
Par aanewali duniya
Viswas bhi nahi karegi
Ki aisi hawa aur pani kabhi hamare pass thi....
Comments
Post a Comment