Jaha hu wahi ruka hu
Samay nikla jaa raha hai
Subah se sham
Saam se raat
Phir agli subah
Aise hi saal beeta jaa raha hai
Mein wahi ke wahi para hu
Kuch bhi naya nahi hai
Jindagi thahar si gayi hai
Sajaye the itne saare khwab
Lagta hai khwab hi rah jaane hai
Chhuna tha kai mukaam
Ghar se nikla hue bhi jamana ho gaya hai
Aankhon ke sammne hi
Khwab dahte jaa rahe hai
Lag raha hai mere kadam ret mein dhas gaye hai
Badhna to dur
Nikal bhi nahi paa rahe hai
Subah bhi alsayi hui hai
Saam bhi ruka hua hai
Sab kuch thama hai jindagi mein
Dhoond raha hu koi bhi sira
Jise pakar ho jaau riha...
Nahi dikh raha hai koi bhi raasta
Wahi ke wahi khara hu
Do rupaye ki naukri mein apni jawani neelam kar raha hu
Yu hi waqt barbad kar raha hu
Jaanta hu gaya waqt fir n aayega
Murjhaya phul fir n khil paayega
Yeh jo umr hai josh ka
beeta jaa raha hai
Jawani aur rawani
masmaar ho rahe hai
Kal n rah paayega yeh daur
Yeh daur beet jaayega
Gaya hua waqt fir laut ke n aayega
Haath pe haath dhare tamasha dekh raha hu
Ya khud hi ek tamasha ban gaya hu
Kuch nahi kar paa raha hu
Pata nahi kis maaya se ghir gaya hu
Khoi kismat kaise jagau
Aise hi waqt jaaya kar raha hu
Kahi waqt bhi n ruth jaaye mujhse
Waqt hi mujhe barbaad kar de
Khauf hai to mujhe
Ki apna samay barbad kar raha hu
Par himmat nahi ki khud se lad saku
Khud ko yaha se nikaal saku
Aalas se bhar gaya hu
Pata nahi kaise moh mein fas gaya hu
Bina nikle ghar se
Manjil tak kon pahucha hai
Kar ke waqt jaaya
Kon samay se pahuch paaya hai
Fir bhi kismat aisi futi hai
Sab kuch samajh ke bhi nirnay nahi le paa raha hu
Ghar se nahi nikal paa raha hu
Pata nahi kab tak aise chalega
Apne barbaadi ka manjar khud hi dekh raha hu
Intezar aur intezar mein
hi samay nikla jaa raha hai
Meri ruthi kismat kab maanegi
Aisa hi alam raha to
Kahi kismat ka suraj doob n jaaye
Mein jaha tha
Wahi n rah jaau.....
Comments
Post a Comment