Kisi aur se mohabbat kyu nahi hui

 Log kahte hai mujhe mohabbat kyu nahi hoti

Unhe kya pata jinse hui wo mujhe chhor ke kabhi gayi hi nahi

Uski yaadon ka tajmahal mere dil mein aisa basa hai

Waisi karigari meine dobara dekhi hi nahi

Us yaadon ke mazaar ko  roj mein apne aasuon se sajata hu

Dil se lekar jehan tak usko mahsoos karta hu

Kya batau kaisi thi meri mehboob

Wo husn e jannat jiske bas deedar se jindagi puri hoti thi

Waisi husn e malika meine fir dekhi nahi kahi

Lakho husn hai is duniya mein

Kuch unke rahmat se mere pass bhi hai

Par inmein woh baat kaha jo mere mehboob mein thi

Bhula saka nahi hu woh madhosh shaam jo uske julfo pe mar mitne se hoti thi

Roop tha aisa ki raat bhi chandni ho jaaye jo woh bas ek baar bas mere pass aa jaaye

Rang tha aisa ki sangmarmar bhi sharmaaye

Aisi Noor ki baarish jo ab bhi yaad aa jaaye to mein bheeng jaau

Uska muskurana dil ke 

 liye tasalli thi

Uska aas paas hona jannat e ruhani thi

Uska meri aakhon mein dekhna jaise khuda se baat thi

Sab kuch dil mein utar jaata tha wo jo bas teerchi nazaron se mere aankhon mein jhaakti

Sahar ghuma gaon ghuma

Har wo jahan dekha jaha tak meri nazar jaati hai

Par fir bhi uske aaspass bhi koi nazar nahi aayi

Aisi thi meri mehboob jo chalti thi to mujhe kabhi saans hi n aayi

Use apne pass se jab guzarte dekhta to lagta tha ki meri saans uske saath hi chali gayi

Log fir bhi pucchte hai mujhe kisi se mohabbat kyu nahi hui.....

Uski yaadein mujhe jee lene deti hai

Inke hone se behtar uski yaadein hai jo mujhe marne hi nahi deti

Itni umeed se bhara hai dil mera ki woh bhi saayad kahi mujhe yaad karti hogi

Yeh ummeed hi itni hai ki kai jindagi mein khusi se ji lu

Mujhe kisi aur ki jarurat hi nahi

Is janam n bhi hua deedar to koi gam nahi

Laakh janam baaki hai uske deedar e husn ke liye

Baar baar mar mitunga tere husn e haya pe

Aisi hai meri mehboob mere liye

Phir bhi log pucchte hai mujhe kisi se mohabbat kyu nahi hui....

Uska husn ki yaad se hi meri subah hoti hai

Uske julfo ki yaad se saam hoti hai

Aaj bhi jhulsati dopahari ka mera sukoon hai meri mehboob

Hawa ke ek katra bhi jo mujhse takrata hai

Uske hone ka ehsaas kara jaata hai

Yeh sunhali Dhoop

Yeh thandi hawa ka jhoka bas uske yaad se hi jinda hai mere liye

Saawan har saal aate hai

Par woh baarish fir n hui jismein use bhingate dekha

Vasant kyu aate hai

Jab woh mere pass ab tak n aayi

Par aaj bhi waisa jhonka nahi dekha jo uske julfo ko ura jaati thi

Uska chehra jisse suraj roshan hota tha waisa suraj fir n dekha

Wo noor jo mujhse hoke bhi door kahi mujhmein hai

Aaj bhi jo osh mujh pe girti hai

Uski yaad dila jaati hai

 Uske haathon se mere sahlate baalon ki yaad kara jaati hai

Aaj bhi badal dekh jo mein udaash ho jata hu

Uski yaad mere jehan ko khusnuma kar deti hai

Phir bhi log pucchte hai mujhe mohabbat kyu nahi hui

Saal dar saal beet gaye

Par uski yaadein aur taaza ho gayi hai

Aap hi batao ki mujhe kisi aur se mohabbat kyu hogi.....

Mein aashiq hu uska

Koi mausam nahi jo har saal badal jaau...

Comments