Prem karna itna asan nahi
Agar himmat nahi hai to mohabbat kyu karti ho
Jab bewafa hi hona hai
To ikraar kyu karti ho
Tum n hoti to koi aur hoti
Saayad wo tumse behtar hoti
Duniya kal bhi mohabbat ka dushman tha
Duniya aaj bhi dushman hai
Aur duniya kal bhi dushman hoga
Naye raaste pe chalna hamesha muskil hoga
Pyaar karna tab bhi gunaah tha
Pyaar karna ab bhi gunaah hai
Aur pyaar karna kal bhi gunaah hoga
Yaad rahein naye raaste pe chalna hamesha muskil hoga
Jab tujhe dusra jaisa hi banna tha
To mujhe nahi chunna tha
Mein hu aashiq
Vidroh meri prakriti hai
Banaye kanoon mein bharosa nahi
Mein apni raah khud chunta hu
Jab duniya ke niyam kanoon ka itna hi dar tha
Tab dil lagana kya jaruri tha
Prem vidroh hai
Prem kranti hai
Prem sangharsh hai
Prem kuch alag hai
Prem apno se larai hai
Prem samaj se larai hai
Kahi n kahi khud se bhi
Hai himmat to hi kar prem
Prem karna har kisi ke bas ka nahi
Prem Sundar hai
Yaha koi bhed nahi
Isliye hi sabko nahi bhaata hai saayad
Prem dene ka naam hai
Aur dena itna asan hai
Lena asan hai
Par chuka dena sabke bas ki baat nahi
Laila Majnu ki kahani
Hai sabki jubaani
Sirin farhad ka kissa
Hai sabke jiwan ka hissa
Par manne se sab katrate hai
N jaane pyaar se kyu itna darte hai
Log darpok hai
Banaye raaste pe hi chalte hai
Dusro ko naya raah chunte hi
Dwesh se bhar jaate hai
Har kisi ke liye pyaar karna itna asan nahi
Naye raaste ko chunna
Har kisi mein itna dam nahi
Dusro ke peeche ho lete hai
Wahi asan lagta unko
Kuch naya karne ki unmein chahat nahi
Isliye pyaar karna har kisi ke bas ki baat nahi
Tum mein duniya se larnre ki agar taaqat hai
To hi aao
Kyunki bhaagne ke liye
Yaha koi dusra raasta nahi
Ho sakta hai is raah pe chalte hue ho jaao barbaad
Par afsos ke liye koi jagah nahi
Is raah ko ek baar jo chun lo
Picche murne ki koi wajah nahi
Prem karna itna asan nahi
Comments
Post a Comment