Safar mein tanha
Safar chal raha hai
Tanha tab bhi tha
Tanha ab bhi hu
Bas sahar badal raha hai
Kismat nahi
Har raat safar mein beet jaata hai
Har subah nayi ummed lata hai
Jindagi ek safar hai
Yeh to suna tha
Par jindagi mein bhi safar hai
Yeh kuch naya hai
Jindagi ek safar hai
Ya safar hi jindagi
Beeta jaa raha hai
Bas yeh soch ke saayad kal kuch naya hoga
Safar kiya jaa raha hu mein
Thak to gaya hu
Kabhi kabhi tut bhi jaata hu
Par kaise hou hataash
Ruk jo jaaunga
To mar hi jaaunga
Chalna hi meri aadat hai
Bas chalna hi meri khushi
Karva kab tak chalega
Iski koi khabar nahi
Kismat ki raat kab dubegi
Samay ka phool khilega
Manjil kab milegi
Sochta hi jaa raha hu
Har safar aise hi nikal raha hai
Par ruku kaise
Manjil to abhi mili nahi hai
Apno ko khoya hai
Kya kahu jyada
Khud se hi dur ho gaya hu
kya khoya kya paaya
Is safar mein
Itna asan nahi iska andaaza
Par waqt hai kaha ki vyarth ki chinta karu
Jindagi chalne ka naam hai
Chalte jaana hi kaam hai
Comments
Post a Comment