Wafa ki ummid n rakh
Dil lagana unka shaukh hai
Dil lagana unki fitrat hai
Dil lagana unki aadat hai
Unhe roj apne shaukh pure karna hai
Kyunki shaukh jaruri hai
Hamara dil khilona hai unke liye
Khelne ki chiz
Jab tak dil kiya
Khub khele
Jam ke khele
Jab dil n kiya
Utha ke fenk diye
Ham kamjor dil
Dil lagana ek hi baar
Roj roj nahi hota hamse
Nahi uthaya jaata yeh jokhim
Unhe shaukh hai dil ki baazi ka
Husn ke sahare khelti hai
Adaayein lutati hai
Wafayein bechati hai
Dilfenk aashikon ki kami nahi
Dil deti hai
Dil leti hai
Roj dil ki bazaar
Sajti hai aur ujarti hai
Unhe isse kya
Wo hai kuch alag
Dil lagana unki aadat hai
Jab dil bahal jaaye
Bas itne se hi hai matlab
Fir bhul jaati
Hamara dil
Yaad nahi rahta hamari unki kahani
Badi magroor hai
Rahti Mashroof hai dil ke saudabaazi mein
Khanjar dil insaan hai
Dil lagana unka shaukh hai
Dil lagana unki fitrat hai
Sach se bilkul Anjaan hai
Jawani do din ki kahani hai
Fir kaha kar payengi
Dil ki nilami
Ham thahre kamjor dil
Laga lete hai kisiko dil se
Maan lete hai apna
Fir hona parta hai gamjada
Baar Baar hoti hai
Wahi galtiyan
Dil ke bazaar mein dil kharidte hai
Yeh bhi nahi samajhte
Ki ishq kiya nahi jaata
Ho jaata hai
Naye duniya ka naya dastoor hai
Dil lagana aam hai
Roj ki baat hai
Bas dil laga rahe
Dil bahla karein
Kisi se bhi
Ismein unhe kya harz hai
Is patthar dil duniya mein
Wafa ek bimari hai
Jise lag gaya
Use khaak hi hona hai
Dil se kuch mat laga
Wafa ki ummid n kar
Ae musafir
Dil aata hai
Dil jaata hai
Ishq hota hai
Ishq bari jor se fir hota hai
Yeh hote hi rahta hai
Mashooqa badalte rahate hai
Tu bhi dhaal le khud ko
Kisi se jyada dil mat laga
Wafa ki ummid n kar
Yaha dil ka bazaar laga hai
Yaha dil kharide bechen jaate hai
Yaha dil mein jagah nahi milti
Yaha wafa ki koi kimat nahi hoti
Warna aisa tut jaayega
Ki fir tera dil kabhi jud n paayega
Ishq ki bimari se parhez kar
Bas dil laga
Dil se n majboor hokar
Dil lagana unki fitrat hai
Tu bhi dil ki bas baazi laga
Jyada kisi se pyaar mat kar
Aur wafa ki ummid n rakh....
Comments
Post a Comment