Aa gaya apne pyaar ka mausam
Accha hua guzar gaya
Titurthi thand ka mausam
Ab aaya hai hamare pyaar ka mausam
Tum par faagun ka asar ab dikhega
Tum par gulal ab asar karega
Tera mera pyaar to ab parwaan chadhega
Tumhare gulabi gaal ho jaayenge laal
Tumhare surkh hoth ho jaayenge ab ras bhare
Sharabi aankhen dikhayengi apne nashe ka kamaal
Nasha ka khumaari aisa chhayega
Ho jaayenge madhosh
ek baar jo hua deedar
Tere ishq ka asar dikhega ab
Ho jaayenge ham becchan aur behaal
Mausam hi aisa aaya hai
Ho jaayenge hum dono rangin
Tu mujhe rang de
Mein tumhe
Aisa ishq ka rang chadhe
Hum dono ho jaaye bismil
Dil mein uhthi hai jajbaato ka toofan
Kaise batau dil e haal
Sambhale nahi sambhal raha
Lekin jab paas mein sanam ho
To kyu roku khud ko
Bah jaana chahta hu bhawanaon ke sailab ke saath
Gote lagana chahta hu
ahsaaso ke samundar mein
Hona chahta hu tere saath fanaa....
Sab mausam ka hi asar hai
Jo aa gaya hai apne pyaar ka mausam....
Comments
Post a Comment