Aakhir mein bhi insaan hu
Kyu lagate ho mujhpe itne bandishe
Aakhir mein bhi insaan hu
Mujhe bhi saans lena hai khuli hawa mein
Aakhir mere bhi kuch armaan hai
Mujhe bhi chhuna hai aasman ki bulandiyon ko
Mujhe bhi naam kamana hai
Maana ki ishq kiya hai tumse
Par tumhari ghulam to nahi hu
Kaha jaana hai tumne
ki kisi pe hukm chalana hi pyaar hai
Bas bandishe lagana hi mard ka kaam hai
Kaise bhul jaate ho ki tumhari bhi to ek maa hai
Kaha mein jaau
Kisse baat karun
Sab tumhare hi faisle hai
Meine kabhi nahi kiya inkaar
Par mera bhi ek dil hai
Mera bhi man hai
Mere bhi jajbaat hai
kaise karu unhe bayan
Kitni baar yakeen dila chuki
Aur kitni baar yakeen dilau
ki meri wafayein tujh se hi hai
Har baar agni pariksha se guzre Sita hi
Mat karo mujhpe shak
Mein tumhari hi hu
Tumhari hi rahungi
Dar lagta hai kabhi kabhi mujhe tumhari baaton se
Kahi chhor to n doge mujhe
Meine ishq kiya hai
Ghulami thore kharidi hai
Dil dukhta hai mera bhi
Aakhir mein bhi insaan hu....
Comments
Post a Comment