Jina hai to jawaab dena hi padega
Har baar chup nahi raha jata
Jawab bhi dena padta hai
Aadmi ko uski aukaad
yaad dilana padta hai
Dekh ke anyay
Muh mor lena
Yeh koi nidaan nahi
Kabhi kabhi
Pratikaar bhi karna hota hai
Is duniya mein jeena hai to ladna hi padega
Kab tak muh chhupaye
Aur muh dabaye rahna padega
Anyay to hoga hi
Lajimi hai
Jab sahnewala sahan karta rahega
Palat ke jawab nahi dega
Jina hai to jawab dena hi padega....
Tumhari chhupi ko log
tumhari kamjori samajh lete hai
Tumhari acchai ko
tumhari majboori samajh lete hai
Tumhari sahanshilta ko
tumhari murkhta samajh lete hai
Tumhe jawab dena hi padega
Tumhe awaaz uthana hi padega
Yeh duniya utni bhi acchi nahi hai
Jitni tumhe ummed hai
Yaha kaato ka jaal biccha hai
Tumhe dekh ke chalna hi parega
Yaha pag pag pe bhukhe bhediye baithe hai
Tumhe savdhaan rahna hi padega
Yaha nirbhaya kyun hoti hai
Bachpan se hi chup rahne ki shiksha di jaati hai
Agar jawab dena jaanti
To aakh uthane ki himmat kisi ki hoti hi nahi
Is desh mein har samay koi n koi nirbhaya jalti rahti hai
Phir bhi chhupi sadhe rahti hai
Aakhir kyu chup rahna
Kyu anyay sahna
Nirbhaya bhi ek insaan hai
Dard use bhi hota hai
Purush ho ya naari
Pidit to hai saare
Kisi ka maalik kar raha shoshan
To kisi ka parivaar
Yaha soshit hote hai saare
Kyunki samay se awaaz nahi uthate....
Dar mat
Awaaz utha
Khud se dar ko alag kar
Vir marte hai ek baar
Darpok marte hai jiwan mein kai baar
Isliye awaaz utha
Anyay ka pratikar kar
Aaj n bol paaya to fir kabhi nahi bol paayega
Chup rahne se samasya mit nahi jaayega
Ek baar jo sahne lagega
dust ka himmat badhta hi jaayega
Jina hai to tujhe ladna hi parega....
Jina hai to jawaab dena hi padega
Hai nahi koi dusra raasta
Dar ka saamna karna hi padega
Dar se bhaagkar
Dar se chhipkar
Dar ko nahi mitaya jaa sakta
Dar se ladkar hi dar ko haraya jaa sakta hai....
Jiwan ek sangharsh yaatra hai
Yaha har din nayi chunnotiyan se bhidna padta hai
Jo haar gaya so mar gaya
Yaha jit ke hi nikalna padta hai
Jo jeet gaya wahi sikandar
Is jiwan mein kuch bhi asan nahi
Yaha sab kuch paana hi padta hai
Ghari ghari deni hoti hai purusharth ki pariksha
Tab jaake hoti hai sulabh jiwan yatra
Bhaagne ka koi awsar nahi
Palayan karna sambhav nahi
Karm mein hi rat hokar ham karm mein mahan ban sakte hai
Ladkar hi jiwan sangram mein vijayi ho sakte hai
Isliye jina hai to ladna hi padega
Jina hai to jawab dena hi padega
Comments
Post a Comment