Kranti hu mein
Kranti hu mein
Mar sako to maar do
Par nahi marungaa mein
Daab sako to daab do
Par nahi dabungaa mein
Meri awaaz band karna chahte ho
Par nahi kar paaoge
Jitna rokoge
Utna failunga
Par rukunga nahi
Badhta hi jaaunga
Kranti to sab mein hai
Par himmat sab mein nahi
Badlaw to sab chahte hai
Par badal nahi paate hai
Ladna sab ko hai
Par himmat nahi juta paate hai
Dekh anyay chup hi rah jaate hai
Ladna sab ke bas ki baat nahi
Hawa bhi vidrohi hai
Paani bhi vidrohi hai
Chand bhi vidrohi hai
Suraj bhi vidrohi hai
Vidroh hi jiwan hai
Jo vidroh nahi to jiwan nahi
Vidroh to naisargik hai
Vidroh to hamara sangeet hai
Vidroh hi hamare ishwar hai
Vidroh ke bina is brahmaand mein kuch bhi sambhaw nahi
Vidroh hi srijan hai
Vidroh hi visharjan hai
Vidroh hi aarambh hai
Vidroh hi ant hai
Vidroh ki avishkar hai
Vidroh hi nai khoj hai
Vidroh hi antahkaran hai
Vidroh hi man ka dwand hai
Vidroh hi hriday ki vivasta hai
Vidroh mein hi jiwan ras hai
Vidroh hi shiv hai
Vidroh hi vishnu hai
Vidroh hi bramha hai
Vidroh hi prem hai
Vidroh hi yudh hai
Vidroh hi ghrina hai
Vidroh hi jiwan ka karak hai
Vidroh hi mera viswas hai
Vidroh hi mera dharm hai
Vidroh hi mera gyaan hai
Vidroh hi mera jiwan hai
Vidroh hi meri uttejana hai
Vidroh hi meri kaam wasna hai
Vidroh se mera rom rom pulkit
Vidroh hai mere rakt ka pravah
Vidroh hi mera jiwan urjaa
Vidroh hi mera merudand
Vidroh hi mera swaas hai
Vidroh hi mera praan hai
Kranti hu mein
Vidroh mein prakirti
Vidroh to mein karunga hi
Khud se bhi
Duniya se bhi
Mein prem karunga
Vidroh karunga
Kranti aayegi hi
Kranti aati hi hai
Sab kuch badal deti hai
Comments
Post a Comment