Kuch shayari halki si

 Tujhe yaad ho n ho

Mujhe sab yaad hai

Tere aane ka manjar

Tere jaane ka sabab bhi....



Tu mujhe chahe n chahe

Mein tujhe chahunga hi

Tu mujhe chhor bhi de

Mein tere saath rahunga hi....



Tujhe ishq hoga

Par mere liye to tu meri jindgi hai

Tu mujhe kho bhi de

Mere andar tu kahi n kahi hamesha rahegi....



Sahar gawah hai hamare mohabbat ka

Tere aane ka

Aur mujhse milne ka

Kuch nahi jaanta hai sahar

Wo hai kissa tere bewafai ka....



Jindgi hai to muskil hogi hi

Kadvaan badhega to rukavaten aayengi hi

Dil mat chhota kar

Man ki udaan bhar

Tu bas chalta jaa rahi

Chalna tera kaam

Jo tere kismat mein hai wo tujhe milega hi....



Har din jo guzar raha hai

Ek naya kissa jud raha hai

Yaad rahe n rahe

Asar to dikhega hi....



Wo so bhi jaaye

Mein jaga rahunga

Uski lataon ko seedha karta rahunga

Use sote hue niharta rahunga

Usse pyaar hi meri jindgi hai

Uske siwa kuch aur mujhe chahiye bhi nahi



Dekhna chahta hu tumhe ji bhar ke

Meri gustakhi hi samajh

Par pila de mujhe apne husn ka pyala

Warna jindgi se shikwa rahega aise hi....



Tu mujhe mil na mil

Kya fark padta hai

Tere dil mein rahu

Itna hi jindgi se chahta hu...



Tu mujhse pyaar kar

Itna bhi arzoo nahi meri

Mein tumhe chahta rahu

Bas itni hi ladai hai meri khud se....



Har baar jitna jaruri nahi hota

Kai baar haar ke bhi tujhe paaya jaata hai

Tu bas jit jaaye

Meri jindagi ki yahi sabse badi jit hai....



Sahar chhor diya meine tere liye

Aur tune mujhe chhor diya gairo ke liye

Bahut afsos hoga tujhe

Ek chahnewala kho diya tune....


Kisse kahe apna dard

Sab to kaatil hi hai

Munsif kon hai

Aaj bhi yahi sawal hai.....

Karega kon nyaya

Ae khuda

Bas tere hi rehmat ka intezar hai....


Wo karte hai

Mein nahi karta

Aisa hi kuch afsana hai

Kyunki mujhe dekha nahi

Mein to saaf dhula hu

Meine pahle bola n

Isliye mein to sahi hu 

Kya kaha jaaye 

Gajab hi jamana hai....



Is jamane mein

Bewafa to nahi hu

Kya yeh kam hai

Ki mein unse juda to n hu

Ishq mein lut jaana behtar hai

Ya bewafa hona

Tumhe nahi hoga malum

 jaanta hu

Khudgarzo ko kya pata

Ishq pe mar mitna bhi hoti hai ek chiz....

....


Ajab gajab hai yeh duniya

Munsif hi qaatil hai

Ya qaatil hi munsif hai.....

Ab bhi jehan mein yahi sawal hai

Khuda bhi dekh hasta hoga

Insaan banaya tha inko

Samajh rahein khud ko bhagwan hi...


Kya takkar kya chakkar(tweet ke jawab mein)

Apni dapli apna raag

Apna muh apni baat

Apni soch,apna vichar

Chhoro bhi in baaton ko

Jab kismat ka suraj chamakta hai

Chai wala bhi PM ban sakta hai.....🙏🙏🙏


Rakhna to chahta hu

Par kirayedaar ki tarah nah

Bas jaao mere dil mei

Maan lo ghar hai tera yahi..


Sadiya beet gayi

N badla satta ka charitra

Tab bhi shoshan hi tha

Aaj bhi shoshan hi hai

Badla hai to bas tarika

Naya khaal mein purana bhediya

Kahti hai meri maa

Chahe koi bhi aa jaaye satta mein

Hamari kismat kabhi nahi badalti

Hum garib rahtein garib hi....



Sadiyon beet gaye

Charitra nahi badla rajneeti ka

Rajneeti galat hi karti hai

Taaqat ka suroor aisa rahta hai

Sahi galat ka fasla mit jaata hai

Sach kahu to

Taaqat ka nasha sabse bura hota hai

Ek baar jo dar mit jaaye

Insaan insaan kaha

Janwar se bhi neeche gir jaata hai....



Saalo se chal raha hai

Aaj bhi wahi haal hai

De gaye waade kitne saare

Kaha ek bhi pura kar paaye

Kitne aashiq aaye aur chale gaye

Kisse mohabbat ke aaj bhi wahi hai

N mohabbat mili n jindgi ji paaye...


Likhta hu

Matlab sabdo se khelta h

Andaaz e baat karta hu.......


Comments