Mujhe is duniya mein rahne do
Humein insaan hi rahne do
Devi n banao
Tumhari maa hu
Tum mujhse hi ho
Tumhari behan hu
Har muskil mein tumhare saath hu
Tumhari dost hu
Teri sab galtiyon ko nazar andaj kar deti hu
Tumhari premika hu
Niswarth prem karti hu
Tumhari ardhangini hu
Tumhare dukh sukh ki sahbhagini hu
Saath baithne do
Vishesh n banao
Jitni izzat milni chahiye utni bhi de do
Humein sarkar n banao
Mein naari hu
Mujhe devi n banao
Jaisi hu
Waisi hi rahne do
Mujhe aise hi swikaar karo
Tumhe janam dene wali maa hu
Tumhe naau mahine kokh mein rakhnewali maa hu
Tumhe duniya mein laanewali maa hu
Pahla sabd jo tumhare mukh se prasfutit hua
Woh maa hu mein
Gyaan ka pahle akshar se parichay karanewali
mein tumhari maa hu
Tumhari pahli vidyalay
Tumhari pahli shikshak hu
Tumhe sanskar dene wali
Tumhara bhavishya nischit karnewali
mein Maa hi hu
Mein hi Maa Durga hu
Mein hi vindhyavasini
Mein hi maa Lakshmi
Mein hi maa saraswati hu
Karte ho aradhana nischay hi
Par bhool jaate ho ki mein bhi stree hu
Mat pujo mujhe Devi ki tarah
Mujhe rahne do insaan hi
Mujhe nirbhaya mat banao
Mujhe apne jaisa hi rahne do
Tumhari nazro se dar lagta hai
Vasana bhari nigahon se andar tak kaap jaati hu
Ghar se nikalne mein dar lagta hai
Sadko pe chalne pe dar lagta hai
Bus, train ho ya bhir
Tumhare anchahe sparsh se andar tak sihar uthti hu
Itna kya bolu
Chath pe bhi jaane se katrati hu
Kon bhediya kaha baitha hai
Har gali har mor pe shikari baitha hai
Afsos to bas itna hai ki uski bhi maa hai
Chil kauon ki tarah nochne ki firaaq mein hai
Apne vaasna ko tript karne ke liye kisi bhi had tak jaane ko bechhan hai
Uski gidh wali nazrein
mujhe aise nihaar rahi hai
Andar tak mujhmein jhaak rahi hai
Aise kon dekhta hai
Aakhir mein bhi insaan hu
Andaza lagana mushkil hai
Rahne do mujhe aam hi
Ji lene do mujhe apni jindgi
Ismein meri kya galti hai
Jo ishwar ne mujhe ladki banaya
Mein koi samaan nahi
Mera bhi hriday hai
Mein koi patthar nahi
Mujhe bhi dard hota hai
Mera bhi tumhare saman hi samvednaayein hai
Rahne do hamein insaan hi
Devi n banao
Mein tumhare krida ke liye khilona nahi
Mein tumhare bhog ki vastu nahi
Mein koi anand prapt karne ka sadhan nahi
Mein bhi tumhare tarah hi hu
Mujhe bhi jeene ka haq hai
Tumhare bachpan ki gudiya nahi
Jitna man karein
Utna todo maroro
Mujhe bhi rahne do is duniya mein
Hamein Devi n banao
Insaan hi rahne do
Comments
Post a Comment