Rango ka badal barasta
Rango ka badal kyu nahi hota
Bas rang hi barasta
Saara sahar rangin hota
Koi bhi berang nahi hota
Dar lagta hai jinhe rango se
Wo bhi rango se ranga hota
Jab bhi barasta rang hi barasta
Ham sab rangeen hote
Ham sab mein koi bhed nahi hota
Bas ham rangeen hote
Phir bhi insaan bhed dhoond hi leta
Kisi n kisi rang ko shreshth samajh hi leta
Gaddhe rang ko swarn samajhta
Halke rang ko nich
Yeh manav ke soch ki samasya hai
Antar mein hi upajta hai
Khud ko behtar samajhna
Khud ko alag rakhna
Insaani dimaag ki fitrat hai
Warna milan hi to holi hai
Kabhi ham unse
Kabhi khud se
Rango ki koi jaat nahi hoti
Rang se bas rangin hoti
Falgun mein bhi barasta badal
Dil mein yeh kaisi kasak hai
Falgun sab kuch laata hai
Bas baarish kahi chhut jata hai
Falgun mein jo baarish hoti
Aur rango ka badal barasta
Yeh saari jamin rango se bhari hoti
Aasman bhi rangin hota
Man bhawan hota
Rango wala ulaas hota
Charo taraf anand hi anand
Anand ka prakash hota
Devta bhi jalte
Dharti pe janamne ko taraste
Yeh rangin duniya
Aur kitni rangin hoti
Kon kon rango se bhari hoti
Soch soch ke hi hriday prafullit
Devta chahe hote to aisa hi hota
Bas kalpna matra n hota
Indra ko bhay tha
Ki swarg ho jaati tuccha
Rangin prithvi ke saamne
Isliye badal ka aisa rang banaya
Paani mein jab rang milein
Tab hi ho paaye rango ki holi
Aisa hum karne ko badhya kiya
Devta jalte hai
Maanav ke ulaas se
Devta samajhte hai khud ko shreshth
Rahna chahte hai alag
Warna dharti pe nahi utarte
Khelne holi hamare sang
Ab ki baar jo milu unse
Le lu unse pratigya
Ki rango ka hi badal barse
Ranghin badal n utre jameen pe
Devta hai dhurt
Devta hai chalak
Falgun mein barsat nahi
Aur saawan bin holi ke
Falgun mein virhan ka dard sataye
Sawan mein piya ki kami khal jaaye
Kitna accha hota
Bas barsa wala falgun hota
Aur koi mausam n hota
Saara sansar rango mein dhaka rahta
Devta ki chalaki khub hai
Insaano se jalan bharpoor hai
Apna samrajya bana rahein
Insaan unke saamne jhuke rahein
Comments
Post a Comment