Sahar deewana hai tera
Sahar gamgin hai tere bina
Tu kyu nahi aayi
Aaj puccha raha hai pura sahar
Tu jo aa jaati
Chamak aa jati pure sahar mein
Tere bina bezaar hai yeh sahar
Tere rup ki chand ki baarish jo ho jaati
Is sahar ke dil ko thandak mil jaati
Ashko ki baarish hui aaj
Jo tu n aayi
Pura sahar bheenga hai
Ek tere n aane se
Aana tha n tujhe
Par kyu nahi aayi
Itna bhi guroor kyu
Saayad tujhe ahsas hai
ki pura sahar gira hai tere pyaar mein
Khoya hai tere ahsaas mein
Pure sahar ke sapno ki rani hai tu
Har kisi ki jubaani hai teri kahani
Aaj tu hai
To tere liye sahar ro raha hai
Kal koi aur hoga
Uske liye sahar gamjada hoga
Aana jaana laga rahta hai
Tere se hi sahar roshan hai
Bematlab ki baat hai yeh
Kuch jyada hi naaz hai tujhe khud pe
Aisa hota hi nahi meri jaan
Samay jis justju mein nikla hai
Waqt bada bemurawat hai
Jo jaisa hai waisa nahi rahta
Tujhe afsos hi milega
Bana le khud ki murat aaj hi
Fir waqt mauka nahi dega
Sahar tujhe yaad kar le saayad
Kuch din beet jaane de
Yeh sahar tujhe pecchanega hi nahi
Yeh roop rang ka jauhar
Husn e malika
Tera yeh aafrin jism
Husn e jaana
Tera yeh naaznin chehra
Teri sokhi adayein
Kuch bhi mayassar nahi hogi
Tere waqt ka suraj jo utar jaayega
Aaj jo sahar tere deedar ko tarash raha
Tere jo qurbat mein hai yeh sahar
Kal juda ho jaayega
Kitna bhi taraash le
Tu patthar nahi ki ek sa rah jaaye
Tu to mom hai tujhe to pighalna hi hoga
Tarasti rah jaayegi tu
Fir woh mehak n luta paayegi
Khoi jawani kabhi laut ke thore aati hai
Ae jaanashin
Nazro ka khel hai yeh tera husn
Nazrein firte waqt nahi lagti
Jajbaato se mat khel roop ki rani
Waqt badalte der nahi lagati
Aaj jo shor macha hai har gali mein tere mutasir
Sab begane ho jaayenge ek din
Haya jo tere chehre pe noor ki baarish kar rahi hai
Tere gaalo ki gulabi chumne ke liye majboor kar rahi hai
Tere surkh oth pyaasa bana rahi hai
Teri aakhon ka jaam nashe mein dooba rahi hai
Teri balkhati chal sahar ko gunehgar bana rahi hai
Tere lambe geshu ungliyon ko thirka rahi hai
Sangmarmar sa badan sahar ke hasrat ko badha rahi hai
Aaj jo sabko pagal bana rahi hai
Har koi diwana hai jiska
Gaflat mein ji rahi hai sahar e mashooqa
Yeh tasavvur hi rah jaayega husn e aziz
Shandaar e dil ko yaadgar bana
Ruh ko khuda se mila
Janaja uth bhi jaaye tera
Sahar ke dil mein kabr bana
Sab fanaa bhi ho jaaye
Duwaein yaad rahti hai
Kar tu itni barakkat
Ki har roj tu yaad aaye
Ki teri yaad is sahar ke liye aisi ho
Har din eid ban jaaye
Har saam majlish e shaam ho jaaye
Comments
Post a Comment