Hum to mook darshak hai

 Koi kisi ki maa ko gaali de raha

Koi kisi ke baap ka naam pucch raha

Koi kisi ko gadha kah raha

Koi kisi ko pappu kah raha

Koi kisi ko baccha bula raha 

Koi kisi ko feku kah raha

Koi kisi ko jumlebaaz

Koi kisi ko bhakt pukar raha

Koi kisi ko hatyara

Koi sach ki awaaz daba raha

Koi kuch bol hi nahi raha

Koi kahi dhyan bhatka raha

Koi hindu muslim ka khel khel raha

Koi tulsidas ko bhi nahi chhor raha

Koi ram ke naam pe vote maang raha

Koi ram ko kalpanik bata raha

Koi naukri baata jameen deke

Sach kya hai kon jaane


CBI aur ED ko kitna kaam hai

Din bhar chhapa hi chaapa

Sach kya hai

Jhooth kya

Hum garibo ko kya pata

Pet paapi hai

Isse fursat milta hi kaha


Mein hu punyatma

Par mujhko chhor ke sab adharmi

Mujhe jab kisine pakra hi nahi

To mein hua kaise paapi

Iska jawab hai kiske pass


Kisiko khalistaan chahiye

Kisiko kashmir

Mein itna burbak

Samajh hi nahi aata

Kya hai apna desh

Mujhe to roti chahiye

Lagi hai joro ki bhookh


Bas chahiye hi sabko

Dena bhi hai kisi ko 

Desh pe sish chadhane

Pata nahi kitne hai veer taiyaar

Kisi ka budget nahi ho raha pass

Kisi ko sarab ghotale mein kar diya band

BBC ne kuch dikha diya

Wo bhi tax chhor hai

Pahli baar humein pata chala

Koi desh jodo yatra mein mashool

Kisi ke ghar pahunch gaya thana

Kisi ko plane se utara

Fir garv se sunaya

Maafi maanga isliye jaane diya

Tumne to maafi nahi maanga

Upar wala jab bhi deta

Deta chhapar faar ke

Apni baari ka intezar karo

Unki laathi awaaz nahi karti

Par asar bahut jor ka karti hai


Usne 70 saal mein kya kiya

Isliye hum bhi kuch nahi karenge

Usne 70 saal mein jitni mehngai di

Humne 10 saal mein hi pura kar diya

Tumne mujhko maara

Mein tumko bhi maarunga

Jab tak dono mar n jaaye

Tab tak ladte rahna hai


Gandhi ko maar do

Godse ko bhaw do

Jo maare usko pujo

Jo bachaye usko mita do

Gandhi aur Ram ka desh hai yeh

Vote tak to thik hai

Hinsa nahi hai sahi

Tumne galat kiya

Mein bhi karunga


Tum pappu ho

Mein tumse bada pappu hu

Koi 370 aayega tabhi chunav ladega

Koi encounter mein hi naam kamayega

Kisi ko vikash purush dikhna hai

To kisi ko sushasan babu

Kal jo dost the

Aaj woh dushman hai

Kal jo dushman the

Aaj woh dost hai

Janta pucch rahi hai

Hum aapke hai kon

Koi manusmriti jala raha

Koi Ramcharitmanas ko gariya raha

Laga hai bhookh pet mein

Bhar rahe pet dimaag ka

Khana banane ko gas nahi

Kitaabo ko jalane ke liye ek tilli hi kaafi

Nafrat kitna asan hai

Prem utna hi muskil

Humein ghrina pasand hai

Kyunki asan hai

Prem thora muskil lagta hai

Faida utha lete hai kuch log

Failate hai ghrina jamkar


Sawal to asan hai

Jawab bahut hi muskil

Kon pucche

Bail ke gardan mein ghanti kon baandhe

Bas kismat ka khel hai

Bhagwan ke manoranjan ka srot

Jisko is taraf hona tha

Woh us taraf hai

Jise raja hona tha woh rank hai

Jise rank hona tha woh raja hai

Jisko jis khajane ki samajh nahi

Woh uska maalik hai

Dekhna hamara kaam hai

N badalne ki hamari niyat hai

N ham niyati hai

Nahi pucchna hi accha hai

Chup rahne mein harz hi kya hai

Jinda rahenge to n pucchenge

Mar gaye to kya khaak duniya badlenge

Sab ki apni soch hai

Jaisi ganga waisi dhara

Jaisi praja waisa raja

Jaisa desh waisa bhesh

Kuch to pucchenge hi

Mar jaayenge par chup nahi baithenge


Kuch nahi badla aajtak

Satta hamesha nirankush thi

Aaj bhi hai aur kal bhi rahegi

Par kuch ko ladna hai

Samaj ko badalna hai

Sabki apni marzi

Angrez chale gaye

Desh azaad hua

Par kaisi hoti hai azadi

Yeh aajtak koi nahi jaan paaya

Chalta hi rahega

Sahi aur galat ki larai

Hum to mook darshak hai

Darshak hi rahenge....

Comments