Tujhe dekh yahi samjha hu

 Yeh kaisa pyaar hai tera

Ki mein tujhe yaad bhi nahi aata

Tu tadapti bhi nahi mujhse milne ko

Ki tu bekhabar hai mere jajbaato se

Mein to andar hi andar hi becchan hu aane ko tere aagosh mein

Ki tujhe koi fark hi nahi pad raha mere pyaar se

Jee nahi paaunga aise

Jo thori der tune aur kar diya

Kabhi to yaad kar liya karo

Kabhi to khidki khol liya karo

Suraj bahar hi hai

Itna bhi dur nahi

Mujhe milne se tere guroor n tujhe roka hai

Chhat pe jaane se kisne roka hai

Kabhi saam ko chhat pe aao

Chanda bhi dekh raha hai

Taro ko mera dard pata hai

Kabhi to pucch lo unse

Mujhse baat karne mein dard hai

Par taaro se baat mein kya harz hai

Mein akela tere intezar mein

Tadapta to din aur raat

Raah dekh raha hu tere bulawe ka

Tujhe aayegi kab meri yaad 

Yahi soch raha hu

Yaad aayegi bhi nahi

Kise pata

Par parwano ko jalne ka shaukh hai

Sama to roshni ke liye hoti hai

Yeh mujhe pata hai

Kaisa pyaar hai tera

Samajh hi nahi aa raha

Pyaar bhi hai

Ya kuch aur

Waqt hi karega faisla

Par mujhe to pyaar hai

Yaad mein jalna meri aadat hai

Kar raha hu intezar

Karta hi rahunga 

Ki saayad tujhe meri yaad aa jaaye kabhi n kabhi

Jal raha hu andar hi andar

Tadap raha hu ek boond ke liye

Tu barsaat hai

Fir bhi barash nahi rahi

Meri pyaas nahi hai itni jyada

Ki pura nadi hi sokh lu

Kinaro se bhi meri pyaas mit jaayegi

Bas mere sahar se ek baar tu guzar jaa

Itna pyaasa hu

Ki tere pass bhi aa jau

Bas dar lagta hai

Ki mujhe dekh kahi tu apna raasta hi nahi badal de

Saayad isliye hi mere sahar se tu kabhi nahi guzri

Pyaar karna alag baat hai

Woh bhi tujhe pyaar kare yeh jaruri thore hai

Pyaar karna asan ho bhi

Par pyaar pana bada hi muskil hai

Tujhe dekh lagta hai

Pyaar bhi ek sauda hai

Nafa nuksan sochna parta hai

Mera dil hai mom

Yuhi pighalta rahta hai

Mera man hai komal

Yu hi mur jaata hai

Mein to hu bahta paani

Kabhi sahar dekh nahi guzra

Mein to ban jaau hawa

Jo mujhe koi chhuna chahe

Mein to pyaar ko jita hu

Tujhe hi har pal yaad karta hu

Pyaar hi mere liye sab kuch hai

Tu mile na mile

Ye alag baat hai

Par mere darwaze kabhi band n honge

Meri khidkiya aaj bhi khuli hai

Taare mujhe dekh rahe hai

Mera dard unhe pata hai

Waqt mile to unse baat karna

Tu meri jaisi nahi

Mein jaanta hu

Par mein aisa hi hu

Mein khud ko badal nahi sakta

Tu aa jati to accha tha

Agar nahi aa sakti to mujhe hi bula leti

Mein to kabse intezaar mein hu

Pyaar karna asan hai

Par pyaar pana bada mushkil hai

Tujhe dekh yahi samjha hu....

Comments