Desh sharmsaar hai
I will always remember u
Whatever the reason who cares
What is right
And what is wrong
Who will decide
What do we get
And what do we lose
Who is interested
Path is important
Goal is superficial
Do what u think is correct
U are important to me
I will always remember u...... 🙏🙏🙏
Mujhe tum yaad rahogi
Koi bhi karan ho
Kya fark padta hai
Kya sahi hai
Kya galat hai
Kon tai karega
Kya koi paayega
Kya koi harega
Ismein kiski hai ruchi
Raasta mayne rakhta hai
Manjil nahi
Wahi karo jo tumhe sahi lage
Tum mere liye mahatvapurn ho
Mein tumhe hamesha yaad karunga
Dilli ki sadko pe yeh kya hua
Apni beti apni behne
Ghayal hui
Sharmsaar hui
Apne desh ka gaurav dhwast hua
Yeh behen betiyaan desh ka maan hai
Jeetke medal naam uccha kiya desh kaa
Aaj wohi sadko pe lahuluhan hai
Apni asmita ko bachane ko majboor hai
Ek taraf desh ko naya sansad mila
Ek taraf desh sharmsaar hua
Kya badla hamare liye
Pahle angrezo ka saashan tha
Ab hindustaniyon ka saashan hai
Pahle bhi kuch maango to laathiyan milti thi
Ab bhi laathiyan hi milti hai
Sach to bolna ab bhi muskil hai
Sarkar bura maan jaati hai
Sarkar tab bhi bura maan jaati thi
Meri Sarkar meri hi baaton ka bura maan jaati hai
Jinko meine chuna
Jinko meine banaya
Ab wo hi hamein ujaar rahi
Sun to lo kam se kam
Tum hamare hi ho
Hum hi tumhe bananewale hai
Sahi kon hai
Galat kon hai
Nahi chahiye hamein iska nirnay
Par samman to de do
Apni hi behan betiyan hai
Jinhone desh ka maan badhaya hai
Sun to lo
Kya kehna chahti hai
Kuch to nidaan karo
Par laathiya to n barsao
Aaj pura desh sharmshaar hai
Loktantra ka naya mandir bana hai
Bahar apne log hi pite jaa rahe hai
Aisa adarsh n stapith karo
Apne behan betiyon ko n darao
Dar se aage jo n badhi
Kon karnam kon sindhu banegi
Phogat behno pe hamein naaz hai
Aaj desh khatre mein hai
Unke naayak asurakshit hai
Comments
Post a Comment