Mein meera
Mein meera hu radha to nahi
Mein teri hu par tu mera to nahi
Mein kitna bhi prem karlu
Radha to nahi ban sakti
Mein tujhe paa bhi lu
Radha ki jagah to nahi le sakti
Radha kismatwali hai
Shyam ke hriday mein basnewali hai
Mein shyam ko chahti hu
Shyam radha ke deewane hai
Prem to anand hai
Prem koi paane ki chiz nahi
Prem to bhawna hai
Prem to samarpan hai
Prem to puja hai
Prem to khud ko bhulna hai
Mein to radha ko bhi puju
Radha se bhi prem karu
Radha to shyam ke kan kan mein hai
Mein bhi shyam ke hriday mein pahuchu
Mein to radha jaisa banna chahu
Radha ko hi bhaju
Radha Radha karte shyam ko kahi bhaa jaau
Mein Radha to nahi ban sakti
Bas Radha ka gun gaa sakti
Radha to anupam hai
Radha to sundartam hai
Radha jaisa koi nahi
Jo shyam ke man mein hai....
Mujh pe unka hi aashirvaad hai
Ki mere man mein shyam hai
Mein shyam ko bhaj lu
Ho jaaye mera jiwan purn
Aur sesh ki chah nahi
Mein Radha to nahi ban sakti....
Kaash aisa hota to accha hota
Kaash waisa hota to accha hota
Bas khuda hi jaane
Kya hota to accha hota
Jo tere bas mein hai
Wo hi kar
Jo nahi tere bas mein
Uske liye mat ho becchan
Khuda hi jaante hai
Kya hoga jo accha rahega...
Pyaar karna badi baat nahi hai
Pyaar nibhana badi baat hai
Ijhaar e mohabbat asan hai
Nibhana muskil hai
Pura sahar aashiq se bhare hai
Har koi haath mein dil leke khara hai
Har koi apni kismat ajmaa raha hai
Apne ishq ka waasta de raha hai
Kispe viswaas kiya jaaye
Kis ko apna haath diya jaaye
Waade to sab karte hai
Jeene marne ki kasmein sab khaate hai
Par nibhayega kon
Tai karna muskil hai...
Comments
Post a Comment