Woh naatak kar rahi hai...
Mein abhi bhi jaga hu uski yaad mein
Woh so rahi hai bina kisi yaad ke
Mein prem karta hu
Woh naatak karti hai
Mein uske liye jita hu
Woh khud ke liye
Meri taalash puri hai
Uski justju baaki hai
Mere liye woh anmol hai
Use abhi bhi behtar ki talaash hai
Mera safar ruk gaya hai
Uska karwaan badh hi raha hai
Mein usmein simatna chahta hu
Woh to samundra hai
Mein uske aakhon mein dubna chahta hu
Uski aakhein kahi aur hai
Mera sabkuch woh hai
Use kinaro pe rukna pasand nahi
Mera chand woh hai
Usne kaha chand to bahut saare hai....
Mere har sawal ka jawaab woh hai
Use mujhse koi sawal hi nahi hai
Mere sapne usse jude hai
Woh kahti hai mein sapne dekhti hi nahi...
Meri subah usse hi hoti hai
Woh kahti hai tai kar lo mein tumhari suraj hu ya chand...
Meri wafayein usse hai
Wo kisi aur thikane ki talaash mein hai
Mein uske liye fariyaad kar raha hu
Wo kah rahi hai tumhara khuda to mein hu
Saayad barbaad ho jaau mein uske peeche
Wo kahegi mein tumhare kismat mein nahi thi....
Comments
Post a Comment