Chhoti chhoti shayari (english)
tujhe ishq hai
mein kaise maan lu
kal raat se chand nahi aaya
aur tu kahti hai ki tu bewafa nahi hai
Rupesh Ranjan
tere sahar se guzarta hu
log pehchante hai
badnaam aashiq hu
aur barbaad bhi
mein koi pahla nahi
pura sahar baaki hai
rupesh ranjan
aadat se majboor hu
raat yuhi bitana
chand ko akela kaise chhod du
kitno ki nazar hai uspe
rupesh ranjan
aadat se majboor hu
raat yuhi bitana
chand ko akela kaise chhod du
chakor ki nazar hai uspe
rupesh ranjan
jaalim hu mein
jaanta hu
akele chhod diya hai tujhe
andhere raat mein
chand ki nazar hai tujhpe
aur tu bewafa nahi hai
kitna muskil hai
kuyen ke rahte bhi pyaase reh jaana
rupesh ranjan
tu aa sakti hai to aa jaa
jamane se kya darna
log hasenge to hasne dete hai
parindo ko insaano se kya lena dena
wo jameen ke hai aur hum aasmaan ke
wo rengte hai aur hum udte hai
kya sila diya tune pyaar ka
hum tumhare ho gaye
aur tum kisi aur ke
hum fanaa ho gaye tumhari yaad mein
aur tum chand ho gaye kisi aur ke aasmaa mein...
kya sila diya tune pyaar ka
hum tumhare ho gaye
aur tum kisi aur ke
hum fanaa ho gaye tumhari yaad mein
aur tum tulsi ho gaye kisi aur ke aangan ke...
Rupesh Ranjan
kyu laut ke aaye tum jindgi mein
andheron ki aadat ho gayi hai mujhe
roshni se ab dar lagta hai
mujhe to chand chahiye
jugnuon ka kya karunga mein
Rupesh Ranjan
jaahir nahi karta hu to iska matlab yeh nahi ki mein tumse pyaar nahi karta
sambhalna jaanta hu pyaar
sharaab pi ke bhi nasha nahi hone deta hu
sharaabi hu tamashayi nahi
aashiq hu awara nahi...
iss sahar mein bahuton se mila
bahuton se pyaar bhi hua
teri baat kuch alag thi
teri hi yaad bas rah gayi
ab bhi jab guzarta hu iss sahar se
teri hi yaad aati hai bas mujhe...
Rupesh Ranjan
kahne ko puri jindgi hi mohabbat mein tha
bas pyaar hi tha
kabhi koi yaar nahi tha
maslan ishq hii tha
kuch paane ki hasrat nahi
nakami hi kah lo
par koshish jabardast thi
mujh pe shaq mat karo
sahar hi bewafaon ka tha
tum aaj bhi pucch lo
mein shayar badnaam tha
faqat I akela hi rah gayan
aur aashiq bhi...
Rupesh Ranjan
jala do mujhe
mar to jaaunga
roj roj ke ishq se azaad to ho jaaunga
badi naa insaafi hai
aakhon ki galti hai
aur saza dil ko mile
husn ka bazaar hai
nazrein fas jaaye to bechara dil kya karein...
Rupesh Ranjan
tujhe jaana hai to chali jaa
mera haal na puchh
jyada pyaar na dikha
ji lunga mein apni jindgi
mar bhi gaya to kya
do din ka pyaar nahi
jindgi ka sahara chahiye
mat ban tu koi tara
mujhe suraj ki talaash hai...
Rupesh Ranjan
mein kyu puchhu ki tu kon hai
mujhe khud ka pata kaha maloom hai
mein khud sahar mein naya hu
mujhe to khud jrurt hai pehcchan ki...
Rupesh Ranjan
Comments
Post a Comment